aag laga di pahle gulon ne bagh mein wo shadabi ki

aag laga di pahle gulon ne bagh mein wo shadabi ki
aai khizan gulzar mein jab gul-barg se gulkhan-tabi ki

kunj-e-lahad mein mujh ko sula ke puchhte hain wo logon se
nind unhen ab aa gai kyun-kar kya hui jo bad-khwabi ki

soch mein hain kuchh pas nahin kis tarah adam tak pahunchenge
aa ke safar darpesh hua hai fikr hai be-asbabi ki

abr hai giryan kis ke liye malbus siyah hai kyun is ka
sog-nashin kis ka hai falak kya wajh aba-e-abi ki

zer-e-mahal us shokh ke ja ke panw jo hum ne phailae
sharm-o-haya ne uthne na di chilman jo chhuti mahtabi ki

dil ka thikana kya main bataun haal na is ka kuchh puchho
dur karo hoga wo kahin galiyon mein aur sai har babi ki

dil na hua pahle jo bismil lotne se kya matlab tha
dhum thi jab khush-bashiyon ki ab shohrat hai betabi ki

shamon ka aakhir haal ye pahuncha sabr pada parwanon ka
kawwe utha ke le gae din ko pai saza sartabi ki

ghunche khajil hain zikr se us ke tang dahan hai aisa us ka
nam hua unaqa-e-zamana dhum udi nayabi ki

bajre lagae logon ne la ke un ke baramad hone ko
ashkon ne mere rah-e-wafa mein aaj to wo sailabi ki

khat nahin padta mere gale par tishna-e-hasrat marta hun
tegh teri be-ab hui thin aarzuen khush-abi ki

rahm hai lazim tujh ko bhi gulchin dil na dukha tu bulbul ka
nikhat-e-gul ne us se kashish ki tab na thi betabi ki

naza mein ya-rab khanda-jabin hun ruh jo nikle khush nikle
pesh-e-nazar aaen jo farishte surat ho aarabi ki

kalghi ki ja par taj mein rakh le zauq rahe pa-bosi ka
pae agar bilqis kahin taswir teri gurgabi ki

padh ke wazifa ishq ka us ke tum jo tadap ke rote ho
ruh na ho tahlil 'sharaf' hasrat se kisi wahabi ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close