agar chahun jhatak kar tod dun zanjir-e-tanhai main tinka hun magar maujon se hai meri shanasai sharik-e-rah thi jab tak hamari aabla-pai na mathe par shikan ubhri na panw mein thakan aai hawa se subh-e-na-asudgi achchha kiya tu ne kitab-e-zindagi ke kuchh waraq tu bhi uda lai hazaron marhale the fasl-e-gul se chaak-e-daman tak khizan guzri to kab guzri bahaar aai to kab aai 'nasim' ek din wo aaega ki mazlumon ke qadmon mein panahen dhundhti hogi sitam-ranon ki darai