shabab aaya tadapne aur tadpane ka waqt aaya agar sach puchhiye be-maut mar jaane ka waqt aaya abhi ji bhar ke pi lo phir na jaane kis pe kya guzre qarib ab shaikh-ji ke waz farmane ka waqt aaya unhen pas-e-haya thahra to apne panw larzan hain hamari juraton ka un ke sharmane ka waqt aaya ghata chhai barasne ko hain bunden abr-e-nisan se nahin pite jo nadan un ko samjhane ka waqt aaya na ho jae kahin phir aap se tum tum se tu 'azam' hudud-e-aql se bahar nikal jaane ka waqt aaya