agar charagh bhi aandhi se dar gae hote to sochiye ki ujale kidhar gae hote ye mere dost mere chaara-gar mere ahbab na chhedte to mere zakhm bhar gae hote koi nigah jo apni bhi muntazir hoti to hum bhi sham dhale apne ghar gae hote agar wo meri ayaadat ko aa gaya hota to doston ke bhi chehre utar gae hote hamein to shauq-e-sukhan ne samet rakkha hai wagarna hum to kabhi ke bikhar gae hote unhen bhi mujh se mohabbat to hai 'nafas' lekin main puchhta to yaqinan mukar gae hote