darwaza shahr-e-gul ka hua wa to kya hua zindan ka dar hai is se ziyaada khula hua khas ko hawa nasib hui aur bana khadang insan ko ikhtiyar mila aur khuda hua tu zindagi ke rukh pe tabassum ki ek rau main waqt ki mizha pe ek aansu ruka hua aasudgi-e-haal ka imkan in dinon paiwand hai qaba ki shikan mein chhupa hua kis gham ko ab talluq-e-khatir ka nam den ab koi gham nahin hai kisi se chhupa hua