agar chubhti hui baaton se darna pad gaya to mohabbat se kabhi tumko mukarna pad gaya to teri bikhri hui duniya samete ja raha hun agar mujhko kisi din khud bikharna pad gaya to zakhira pusht par bandha nahin tumne hawa ka kahin gahre samundar mein utarna pad gaya to wo mujhse dur hota ja raha hai rafta rafta agar us ko kabhi mahsus karna pad gaya to tum is raste mein kyun barud boe ja rahe ho kisi din is taraf se khud guzarna pad gaya to bana rakha hai mansuba kai barson ka tu ne agar ek din achanak tujhko marna pad gaya to tumhaari zid hai 'asim' wo nikhaare husn apna agar us ke liye tum ko sanwarna pad gaya to