parda-e-mahmil uthe to raaz-e-virana khule raaz-e-virana khule tab ja ke diwana khule bar-e-haft-aflak bhi is na-tawan shane pe hai zulf se kahna ki aahista sar-e-shana khule qamat-e-parwana qadd-e-shama se kam hai abhi kimiya ho le zara to qad-e-parwana khule jab tilism-e-aina khud ho naqab-e-aina chashm par kaise hijab-e-aina-khana khule is qadar mai us ke paimane mein aati jaegi jis qadar bhi jis pe tah-dari-e-paimana khule aajizi o ustuwari masti o waraftagi kis pe ab juz-shama betabi-e-parwana khule sab pe khulne ki hamein hi aarzu shayad na thi ek do honge ki hum jin par faqirana khule