agar dena ho dil ki dad jitna us ka ji chahe to karne do use fariyaad jitna us ka ji chahe mili hain yar ki galiyan hamein majnun se ye kahiyo kare virane ko aabaad jitna us ka ji chahe nahin mumkin ki hum kaba ko jaen chhod but-khana kare waiz hamein irshad jitna us ka ji chahe wafa ka tauq hai qumri-sifat juzw-e-badan mera kare jaur-o-sitam sayyaad jitna us ka ji chahe 'yaqin' mujh bin nahin hai qadr-dan koi musibat ka falak mujh par kare bedad jitna us ka ji chahe