are sayyaad is bedad par bedad kya kije shikar-e-na-tawan mujh se ke tin aazad kya kije uthane ka nahin main hath jun gul us gareban se agar bu ki tarah jawega ji barbaad kya kije bahaar aai hai aur hum gulsitan mein ja nahin sakte khuda ke waste tu hi kah ai sayyaad kya kije tala gar be-sutun to kya hua khusraw nahin talta bada patthar hai chhati par tere farhad kya kije jafa par dilbaron ke sabr karna hi munasib hai 'yaqin' dawa wafa ka kar ke ab fariyaad kya kije