agar dil ishq sin ghafil raha hai to apne fan mein na-qabil raha hai dil o din se to guzra ab khudi chhod ghar us mah ka ab ek manzil raha hai judai ke kare tadbir ab kaun ye dil tha so usi sin mil raha hai na bandho said rahne ka nahin baz dil apni harkaton sin hal raha hai misl-e-barq duniya se guzar ja ita kyun is mein be-hasil raha hai nahin tazmin ka zauq 'abru' ko kahan us kun dimagh o dil raha hai