agar dil waqif-e-nairangi-e-tab-e-sanam hota

agar dil waqif-e-nairangi-e-tab-e-sanam hota
zamane ki do-rangi ka use hargiz na gham hota

ye paband-e-musibat dil ke hathon hum to rahte hain
nahin to chain se katti na dil hota na gham hota

unhin ki be-wafai ka ye hai aathon-pahar sadma
wahi hote jo qabu mein to phir kahe ko gham hota

lab-o-chashm-e-sanam gar dekhne pate kahin shair
koi shirin-sukhan hota koi jadu-raqam hota

bahut achchha hua aae na wo meri ayaadat ko
jo wo aate to ghair aate jo ghair aate to gham hota

agar qabren nazar aatin na dara-o-sikandar ki
mujhe bhi ishtiyaq-e-daulat-o-jah-o-hasham hota

liye jata hai josh-e-shauq hum ko rah-e-ulfat mein
nahin to zoaf se dushwar chalna do-qadam hota

na rahne pae diwaron mein rauzan shukr hai warna
tumhein to dil-lagi hoti gharibon par sitam hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close