agar dila gham-e-gesu-e-ya badh jata shab-e-firaq mein aur intishaar badh jata jo shauq-e-jumbish-e-mizhgan-e-yar badh jata tera maza khalish-e-nok-e-khar badh jata jo meri chashm ke parde sharik ho jate kamal-e-daman-e-abr-e-bahaar badh jata watan mein hum na hue khak shukr ki ja hai ghubar-e-khatir-e-ahl-e-dayar badh jata dikhai kyun na mujhe aa ke garmi-e-raftar bala se aap ki mera bukhar badh jata