main teri hi aawaz hun aur gunj raha hun ai dost mujhe sun ki main gumbad ki sada hun jis rah se pahle koi ho kar nahin guzra us rah pe main naqsh-e-qadam chhod raha hun main apne usulon ka garan bar uthae har waqt hawaon ke mukhalif hi chala hun be-maya hababo mujhe dekho ki adam se main su-e-abad sail ki surat mein baha hun har asr ki takhliq mein kuchh hath hai mera main waqt ke zindan mein bhi aazad raha hun sadiyon se main apne ko banane mein hun masruf banda hun magar ghaur se dekho to khuda hun haalat ki gardish se hirasan nahin 'jawed' main gardish-e-aflak ki godi mein pala hun