agar faqir se milna hai to sambhal pahle amir ban ke na ja pairahan badal pahle padegi tujh pe sunahri kiran mohabbat ki harim-e-zat ke jangal se khud nikal pahle salam kahne ko aaegi khud-bakhud manzil mohabbaton ke kathin raston pe chal pahle jataen kanch ke bande to khub hain lekin tu khwahishon pe bhi jogi bhabhut mal pahle shumar tera bhi hoga kamal walon mein kisi kamal ke sanche mein tu bhi dhal pahle tere payam hi se surkh ho gaya hai badan ki meinh pada nahin hai khil uthe kanwal pahle sukhan-waron ki riyazat pe phir gaya pani sunai shokh nigahon ne wo ghazal pahle hile na hont na aankhon ne lab-kushai ki jabin-e-husn pe kyun pad gae hain bal pahle tujhe salam kare uth ke kis tarah 'hasrat' tu aaya der se aur aa gai ajal pahle