agar har chiz mein us ne asar rakkha hua hai to phir ab tak mujhe kyun be-hunar rakkha hua hai talluq zindagi se mukhtasar rakkha hua hai ki shanon par nahin neze pe sar rakha hua hai zamane se abhi tak puchhte hain us ki baaten use hum ne abhi tak be-khabar rakkha hua hai ab aisi be-samar saat mein us ki yaad kaisi ye dukh achchhe dinon ki aas par rakkha hua hai nikalna chahta hai wusat-e-sahra mein wahshi bade jatanon se dil ko bandh kar rakkha hua hai sada deta hai roz-o-shab koi aisa jazira jahan mere bhi hisse ka samar rakkha hua hai na jaane kaun si manzil pe bujh jaen meri aankhen so main ne ek ek ham-safar rakkha hua hai