rafaqaton ka bharam tod jaane wala nahin muqable mein agar aaya tar-niwala nahin padi hui hai nasab qais se milane ki kisi ne dasht mukammal magar khangala nahin yahan buland sadaen laga ghubar uda dayar-e-ishq hai tahzib ka hawala nahin hamare ahd ke suqraat maslahat-bin hain kisi ke hath mein bhi zahr ka pyala nahin safar mein rahne se is ko qarar rahta hai ye zakhm dil ka hai panw ka koi chhaala nahin hawa ke hath lagi khushbuon zara sun lo sambhaale kaun agar phul ne sambhaala nahin ye jis ne rizq ki tangi pe khud-kushi kar li kahin samaj ne mil kar to mar dala nahin karenge yunhi sada intizar sahil par guhar tahon se samundar ne jo uchhaala nahin ye ehtiyat pasandi kahan se aai hai agar zaban pe koi maslahat ka tala nahin kahaniyan na tarashen khayali duniya ki kahan jahan mein tafriq past-o-baala nahin ijara-dariyan qaem hain kis liye 'jazib' koi hawala agar mo'atabar hawala nahin