agar himmat jawan ho shadmani dhund leti hai zarurat tapte sahra mein bhi pani dhund leti hai kisi rangin manzar tak rasai jab nahin hoti nazar afsurda manzar mein jawani dhund leti hai hadon se badhne lagti hai ghutan jab dida-o-dil ki tariqa guftugu ka be-zabani dhund leti hai numaish dil ke zakhmon ki chalo dilli mein karte hain suna hai qatilon ko rajdhani dhund leti hai masail ka kabhi hal dhundne par bhi nahin milta masail ka kabhi hal zindagani dhund leti hai kisi ko qissa-e-dil jab sunana chahta hun main bahane be-rukhi ke bad-gumani dhund leti hai koi uftad jab bhi tutti hai zindagani par mujhi ko kyon bara-e-nauha-khwani dhund leti hai haqiqat se agar rishta ho us ka to 'kamal-anwar' khud apne padhne walon ko kahani dhund leti hai