aah dil par asar na ho jae

aah dil par asar na ho jae
husn ki aankh tar na ho jae

dagh-e-dil ki taraqqiyan tauba
ye sitara qamar na ho jae

aashiyan to bana raha hun magar
bijliyon ko khabar na ho jae

dar hai gulshan ka aashiyan ka nahin
nazr-e-barq-o-sharar na ho jae

raaz-e-dil is liye nahin kahta
ishq na-mo'tabar na ho jae

dil se un ko bhula to dun lekin
zindagi talkh-tar na ho jae

aate aate qarib manzil ke
bad-guman rahbar na ho jae

sham aisi nahin koi 'akhtar'
jis ki paida sahar na ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close