agar ho khauf-zada taqat-e-bayan kaisi nawa-e-haq na sunae to phir ziyan kaisi uthao harf-e-sadaqat lahu ko garm karo jo tir phenk nahin sakti wo kaman kaisi unhen ye fikr ki meri sada ko qaid karen mujhe ye ranj ki itni khamoshiyan kaisi hawa ke rukh pe liye baitha hun charagh apna mere khuda ne mujhe bakhsh di aman kaisi hawa chale to use kaun rok sakta hai utha rakhi hai ye diwar darmiyan kaisi agar ye mausam-e-gul hai to zard-ru kyun hai dil-o-nazar pe ye kaifiyyat-e-khizan kaisi na tar tar qaba hai na dagh dagh badan mujahidon ke saron se gai azan kaisi