kya kijiye raqam sanad-e-ehtisham-e-zulf hai daftar-e-jamal pe tughra-e-lam-e-zulf khidmat ho ghaza-e-gul-e-rukh ki nasim ko mauj-e-hawa chaman mein kare intizam-e-zulf fasl-e-bahaar aai junun-khez dekhiye saudaiyon ko aane lage phir payam-e-zulf muzi jo sar chadha to bana mar-e-astin sar pe na chahiye tha buton ke maqam-e-zulf sauda-e-zulf chin-e-jabin ne mita diya taraj chiniyon ne kiya aa ke sham-e-zulf kab husn-e-arzi pe latakti hai subh-o-sham islam par hai tan se har-dam salam-e-zulf chhut ke utha rahe hain asiran-e-dam-e-zulf aaram ab kahan dil-e-wahshi hai ram-e-zulf baalon ko apne tum rukh-e-raushan pe chhod do phenko miyan-e-chashma-e-khurshid dam-e-zulf taqrir kyun na uljhi hui bar zaban rahe hai dars mein risala-e-ilm-e-kalam-e-zulf diwane hum hain gardish-e-lail-o-nahaar ke hai subh subh ru-e-pari-sham sham-e-zulf paya siyah-bakhti-e-ushshaq ne bhi auj firoza-e-falak pe kiya kunda nam-e-zulf zulfen hawa se kab rukh-e-ariz pe aa gain hai sabza-e-bahaar ke munh mein lagam-e-zulf aae siyah-dil hain raqibon ke us pe 'mehr' poshish mein hai abas haram-e-ehtiram-e-zulf