agar hum chhod den arz-e-hunar khamosh ho jaen hamare sath ye diwar-o-dar khamosh ho jaen isi bais to honton par sawal ab tak nahin aaya kahin aisa na ho ye chaaragar khamosh ho jaen tilism-e-be-yaqini har qadam par gher leta hai na jaane dhadkanen kis mod par khamosh ho jaen agar be-chehra aaine ko chehra de nahin sakte to sare shahr ke aaina-gar khamosh ho jaen zamin se be-wafai mat karo warna ye mumkin hai ki shakhen kat rahi hon aur shajar khamosh ho jaen