aankhon mein khwab aur rag-o-pai mein khun nahin laila-o-dasht hai magar ab wo junun nahin ye iztirab aur bhi badhta hai ruh mein ab khwab mein bhi mujh ko mayassar sukun nahin tinka sa ban ke rah gae hain sath-e-ab par hum bahna chahte the ai dariya pa yun nahin khali padi hui hai meri kaenat-e-dil gham bhi koi bacha hua ab ke darun nahin tufan-o-barshgal se go purza purza hai kashti ka baadban magar sar nigun nahin aawaz mar rahi hai magar shahr mein 'figar' koi malul-e-harf ki mayyat pe kyon nahin