agar itna na tu ayyar hota to dushman ka na hargiz yar hota dui ka naqsh mitta dil se ai kash mai-e-wahdat se main sarshaar hota jo hote aaj-kal qais aur farhad main un ka qafila-salar hota na hota gar tera talib jahan mein to main paband-e-nang-o-ar hota lagae chat par hain us ko dushman ilahi main bhi kuchh zardar hota agar hota mujhe pas aabru ka na tera aashiq-e-didar hota tadapta hai qafas mein tair-e-dil nikal jata agar par-dar hota tamanna dil ki 'saqi' jab nikalti agar munh se na kuchh izhaar hota