agar izzat mile to sar takabbur se uThana mat

agar izzat mile to sar takabbur se uthana mat
kisi ki khak ko tum apne pairon se udana mat

ye nafrat bhi mohabbat ka purana rup lagti hai
mohabbat rup badle to kabhi dhoke mein aana mat

agar ye ban gaya to phir tumhein hi bant khaega
jo dariya ishq ka hai us pe koi ghar banana mat

buzurgon ne kaha hai ye hamesha jhuk ke chalna tum
magar majnun ye kahta he kabhi sar ko jhukana mat

ye pardesi yahan par muddaton ke baad aae hain
mohabbat se inhen milna kabhi in ko satana mat

mohabbat ki wo takhti jis pe apne nam likkhe the
ise rakhna muqaddam tum kabhi is ko mitana mat

mohabbat farz hai aur tum bhi pura farz kar lena
diya hai ye mazaron ka kabhi is ko bujhana mat

wirasat mein mera hissa bhale bhai tu rakh lena
amanat hai ye purkhon ki kabhi is ko ganwana mat

isi ganw ki mitti se mila hai hum ko ye rutba
kabhi shahron mein apna ghar mere bete basana mat

dua jaisa asar hota hai 'nasir' baddua mein bhi
kisi surat bhi duniya mein kisi ka dil dukhana mat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close