wo bekali nahin dil ko wo iztirab nahin

wo bekali nahin dil ko wo iztirab nahin
tumhaare hijr ka ab kuchh mujhe itab nahin

jala-bhuna hun mujhe khwahish-e-kabab nahin
pila de dho ke subu hi agar sharab nahin

suna hai hum ne ki aariz pe hai ghubar sa kuchh
bala se khat ka hamare agar jawab nahin

teri khabar ke liye dekhte hain sab akhbar
mutalea mein kisi ke koi kitab nahin

rasida bud bulae wale ba-khair guzasht
tumhaari zulf se khatir ko pech-o-tab nahin

pilana taul ke baada-e-mughan khuda ke liye
ye din sharaf ke hain mizan mein aaftab nahin

farar kyun na ho har rose jaan-nisar ek ek
huzur aap ki wo daulat-e-shabab nahin

tumhaare zulf ki taswir kya kare sairab
khata muaf ho hum tishna-e-sarab nahin

'nasim' pi gae ab mai-kadon mein hai kya khak
dawa ke waste london mein bhi sharab nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close