agar kisi ne badan ka sukun paya hai wo shakhs ruh ki tarikiyon mein uljha hai khayal hai koi meri talash mein hi na ho tilsim-e-shab kisi aawaz-e-pa se tuta hai ye kis ki chap dar-e-dil pe roz sunta hun ye kis ka dhyan mujhe raat-bhar satata hai kuchh is tarah se muqayyad hun apni hasti mein ki jaise main hun faqat main hun aur duniya hai tumhaare gham mein koi aankh nam nahin hogi hawa ke karb ka ehsas kis ko hota hai ye kaun zehn mein chupke se roz aa ke 'niyaz' sukun-e-qalb-o-nazar paemal karta hai