agar na dard se is dil ko aashna karte

agar na dard se is dil ko aashna karte
gham-e-hayat ka kis tarah tajziya karte

khuda-na-khwasta kashti jo dubne lagti
siwa khuda ke bhala kya ye nakhuda karte

ajab nahin tha ki aa jata hosh mein bimar
qarib aa ke jo daman se wo hawa karte

kati tasawwur-e-huran-e-khuld mein jin ki
hamare un ke bhala kya wo tasfiya karte

hum aise rind pas-e-marg bhi wahan jate
na pina jurm ho hukaman jahan piya karte

sakhi ke samne phaile hue hain jin ke hath
hum aise logon se kya arz-e-muddaa karte

ye dard-e-dil to hai is zindagi ka mutaradif
maraz agar koi hota to kuchh dawa karte

na hote dil se jo majbur kar ke tark-e-wafa
use bhi hum zara tadpa ke tajraba karte

tunak-mizaji-e-khuban ka gar pata hota
manate phir unhen pahle to hum khafa karte

gae hain dair-o-haram ho ke la-makan ki taraf
qayam rahraw-e-manzil yun ja-ba-ja karte

uthaya maslahatan hum ne khun ka dawa
kisi ki aankh sar-e-hashr nichi kya karte

na pas-e-laghzish-e-adam agar hamein hota
ilaj tera bhi ai dew-e-ishtiha karte

na hoti apne parae ki phir hamein tamiz
dagha na mil ke agar yar aashna karte

niyaz-o-naz na yun hote lazim-o-malzum
na yun kisi ke ishaaron pe hum chala karte

darun-e-dil ki sada hai magar ghazal 'mahir'
ki sher sher pe samea hain wah-wa karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close