agar nazar mein koi justuju nahin to nahin

agar nazar mein koi justuju nahin to nahin
jo main nahin to nahin aur jo tu nahin to nahin

kise khayal hai apne siwa kisi ka yahan
yahan kisi ko teri aarzu nahin to nahin

mere to shahar mein bahti hain khun ki nadiyan
use nasib koi aabju nahin to nahin

abhi to zehn mein sapnon ka shor jari hai
abhi jo tum se koi guftugu nahin to nahin

tumhein tumhaari ye saj-dhaj rahe mubarak aur
mera darida gareban rafu nahin to nahin

main apne tarz pe aaya hun jit kar bazi
teri nazar mein agar surkh-ru nahin to nahin

kisi malih se chehre pe jaan den 'farhat'
koi nasib mein gar mah-ru nahin to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close