ahwal mera puchhne aate bhi nahin hain

ahwal mera puchhne aate bhi nahin hain
kis haal mein khud hain ye batate bhi nahin hain

waise to basate hi nahin dil mein kisi ko
par jis ko basaya hai bhulate bhi nahin hain

hum milte nahin un se ye un ko hai shikayat
aur khud wo mohabbat se bulate bhi nahin hain

chahe na bulana to na bulwae wo lekin
yun khud se magar dur bhagate bhi nahin hain

dil se main kiya karta hun un logon ki izzat
jo nekiyan karte hain jatate bhi nahin hai

un ko bhi sada mujh se mohabbat ka hai dawa
honton pe mera nam jo late bhi nahin hain

jin taur tariqon ko wafa kahte hain ab log
wo taur tariqe hamein aate bhi nahin hain

bas dard ke tanhai ke ashkon se siwa ab
aashiq yahan kuchh aur to pate bhi nahin hain

jis tarah ke ahbab khuda ne diye 'haidar'
aise mere rishte mere nate bhi nahin hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close