agar rona hi ab mera muqaddar hai mohabbat mein to daman bhi tumhaara ho mere ashkon ki qismat mein sawali ho ke main ne tere dar ko bakhsh di izzat nahin to kya nahin hai mere daman-e-mohabbat mein pae-bakhshish abhi dariya-e-rahmat josh mein aae kam-az-kam ye asar to hai mere ashk-e-nadamat mein pahunch kar un ke sang-e-astan par bhi nahin mitti wo mahrumi-e-sajda jo likhi hoti hai qismat mein ata ko dekh apni zarf-e-dil ka zikr kya saqi ki dariya bhi sama hai zarf-e-dil ki wusat mein wo aalam yaad hai jab dil khincha jata tha pahlu se kashish pahli si kya baqi nahin lafz-e-mohabbat mein waqar' ai kash meri umr mein shamil na ki jae wo muddat han wahi muddat jo guzri un ki furqat mein