be-misl-o-be-hisab ujalon ke baad bhi kuchh aur mang jaan se pyaron ke baad bhi kya soch raushni se ziyaada hai tez-rau hum band rah sake na fasilon ke baad bhi taswir se ziyaada tasawwur ki umr hai kuchh khwab zinda rahte hain aankhon ke baad bhi phir khauf se be-fikr hi karna pada use badli na meri qaum azabon ke baad bhi chaho agar aman to hazir hai mera dil mazbut hai ye qila daradon ke baad bhi aqaliyyaton ke jaise khuda ki tarah hain hum sabit na ho sake jo hawalon ke baad bhi qaidi mohabbaton pe yaqin kis tarah rakhen milti hai kab rihai sazaon ke baad bhi