agar roun to meri aankh aksar nam nahin hoti

agar roun to meri aankh aksar nam nahin hoti
agar hansne lagun phir bhi udasi kam nahin hoti

kabhi yaaden mahakti hain sitare raqs karte hain
shab-e-hijran hamesha hi dali-e-gham nahin hoti

main dekhungi zara fursat se apne aks-e-khaki ko
abhi teri ziya hi aankh mein hamdam nahin hoti

badi lambi masafat hai hadis-e-dil hai ek misra
azizo shairi hargiz kabhi yak dam nahin hoti

bhala kaise samajhti ishq mein jaan se guzarne ko
teri chahat mein jo dar-pesh rah-e-kham nahin hoti

pukarun to chale aana pakad kar yaad ki dori
mohabbat mein to majburi mere hamdam nahin hoti

ye dil ab rakh diya hai waqt ki thokar pe ai 'sima'
ki is kambakht dil ki aarzu hi kam nahin hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close