barishon mein bhigne ki ab mujhe fursat nahin mausamon ke rang mein pahli si wo hiddat nahin talkhiyan masrufiyat ne kuchh badha din is qadar sach kahun shirin-dahan se mujh ko to nafrat nahin husn ki taqsim mein hi rah gai koi kami dhundhta hai dil jise wo shahr mein surat nahin chahta hai ji ki ye bhi sath ho aur wo bhi ho kya karen par jeb mein is aish ki qimat nahin rokna tha daur-e-awwal hi ke naron ko wahan ab junun-e-shahr par paoge tum qudrat nahin dil to dil kajal bhi ab to lab-kusha hone lage is liye 'sima' tere alfaz ki hajat nahin