agar sunani hai har qadam par nai kahani to haar mani fareb khate hue guzarni hai zindagani to haar mani agar mohabbat tera rawayya hai phir paraya to baz aaya agar zamane teri rawish hai wahi purani to haar mani hum apna jiwan hum apni khushiyan hum apna sab kuchh luta chuke hain agar hai phir bhi hamari qismat mein raigani to haar mani samajh rahi hai agar mohabbat ko silsila ek himaqaton ka samajh rahi hai jo khud ko tu is qadar siyani to haar mani nahin batana jo kis tanasub se jhut hai sari dastan mein nahin batana jo dudh kya aur kya hai pani to haar mani sukhan ki dewi jo mehrban ho nahin rahi 'iftikhar' 'haidar' jo ruk rahi hai qalam ki qirtas par rawani to haar mani