faza-e-sham ziya-e-sahar usi se mili kashish hayat ko al-mukhtasar usi se mili usi se mujh ko mila ishtiyaq manzil ka mere safar ko faza-e-safar usi se mili buland martaba-e-musht-e-khak usi ne kiya tamam fahm-o-zaka-o-nazar usi se mili ghurur khud pe jise jis qadar bhi ho lekin mili jise bhi mata-e-hunar usi se mili usi ne zulmat-e-gum-gashtagi ko dur kiya talash-e-haq ko rah-e-mo'tabar usi se mili ata karega hamein bhi wahi rida-e-ziya ki jugnuon ko qaba-e-sharar usi se mili wo be-khabar hai nahin ehtiram jis ko khabar ki aadmi ko mili har khabar usi se mili