agar sune to kisi ko yaqin nahin aae makan bulate rahe aur makin nahin aae wo chand lafz jo kuchh bhi nahin siwa sach ke wo chand lafz bayan mein kahin nahin aae to kya hua jo ye tan mil rahe hain mitti mein abhi wo khwab to zer-e-zamin nahin aae abhi se naz na kar itna khush-libasi par abhi to bazm mein wo nukta-chin nahin aae kisi ki aankh mein raushan hain jaisi tabiren idhar to khwab bhi itne hasin nahin aae