chamak rahi hai paron mein udan ki khushbu bula rahi hai bahut aasman ki khushbu bhatak rahi hai purani dulaiyan odhe haweliyon mein mere khandan ki khushbu suna ke koi kahani hamein sulati thi duaon jaisi bade pan-dan ki khushbu daba tha phul koi mez-posh ke niche garaj rahi thi bahut pechwan ki khushbu ajab waqar tha sukhe sunahre baalon mein udasiyon ki chamak zard lawn ki khushbu wo itr-dan sa lahja mere buzurgon ka rachi-basi hui urdu zaban ki khushbu ghazal ki shakh pe ek phul khilne wala hai badan se aane lagi zafran ki khushbu imaraton ki bulandi pe koi mausam kya kahan se aa gai kachche makan ki khushbu gulon pe likhti hui la-ilaha-illallah pahadiyon se utarti azan ki khushbu