agar ulti bhi ho ai 'mashriqi' tadbir sidhi ho magar ye shart hai insan ki taqdir sidhi ho samajh mein aae bhi kya kahte hain aur kya wo likhte hain agar taqrir sidhi ho agar tahrir sidhi ho wo aa kar khwab mein ek bosa rukh ka de gae mujh ko yaqin mujh ko nahin is khwab ki tabir sidhi ho kaji ai 'mashriqi' ho dur kyun kar kaj-mizajon ki nahin mumkin ki pusht-e-asman-e-pir sidhi ho