tera husn hai wo sahba ki koi misal kya de kabhi tishnagi bujha de kabhi tishnagi badha de ye jahan hai ek tamasha koi dost hai na dushman wahi aag raushni de wahi aashiyan jala de ye tariq-e-dilbari hai ki ada-e-dil-nawazi kisi jurm par nawaze kisi jurm par saza de abhi zulmat-e-khirad mein hai wafa ki tabnaki ye charagh bujh na jae koi is ki lau badha de ye qadam qadam pe zulmat ye rawish rawish andhere meri be-khudi kahan hai mujhe rasta bata de ye tasawwur-e-rihai rahe kyun nazar mein 'gauhar' mujhe qaid karne wale mere baal-o-par jala de