agar us ka mera jhagda yahin tai ho to achchha ho khuda jaane khuda ke samne kal kya na ho kya ho guzarti hai bashar ki zindagi kis wahm-e-baatil mein jo aisa ho to aisa ho jo aisa ho to aisa ho shab-e-khalwat ye kahna bar bar us ka banawat se hamein chhede to ghaarat ho hamein dekhe to andha ho wo har dam ki ayaadat se meri ghabra ke kahte hain ghazab mein jaan hai apni na mar jae na achchha ho wo farmate hain mujh ko dekh kar main yun na manunga agar ye 'nuh' hai tufan uthae gharq-e-duniya ho