agar wo apne hasin chehre ko bhul kar be-naqab kar de to zarre ko mahtab aur mahtab ko aaftab kar de teri mohabbat ki wadiyon mein meri jawani se dur kya hai jo sada pani ko ek nashili nazar mein rangin sharab kar de harim-e-ishrat mein sone wale shamim-e-gesu ki mastiyon se meri jawani ki sada raaton ko ab to sarshaar khwab kar de maze wo pae hain aarzu mein ki dil ki ye aarzu hai yarab tamam duniya ki aarzuen mere liye intikhab kar de nazar na aane pe hai ye haalat ki jang hai shaikh-o-barahman mein khabar nahin kya se kya ho duniya jo khud ko wo be-naqab kar de mere gunahon ki shorishen is liye ziyaada rahi hain yarab ki in ki gustakhiyon se tu apne afw ko be-hisab kar de khuda na lae wo din ki teri sunahri nindon mein farq aae mujhe to yun apne hijr mein umr bhar ko bezar-e-khwab kar de main jaan-o-dil se tasawwur-e-husn-e-dost ki mastiyon ke qurban jo ek nazar mein kisi ke be-kaif aansuon ko sharab kar de urus-e-fitrat ka ek khoya hua tabassum hai jis ko 'akhtar' kahin wo chahe sharab kar de kahin wo chahe shabab kar de