danista kar ke tark-e-safar ro pade hain hum kis ko hamare gham ki khabar ro pade hain hum samjhe the ahl-e-bazm ki hum muskuraenge ye bhi hai ek fareb-e-nazar ro pade hain hum zikr-e-gham-e-hayat phir ek bar chhid gaya mahfil mein teri bar-e-digar ro pade hain hum aankhon ke samne wahi manzil hai dar ki yaad aai teri rahguzar ro pade hain hum fasl-e-bahaar aai to ye bhi sitam hua hansne lage hain zakhm-e-jigar ro pade hain hum kya kya umiden le ke guzari thi sham-e-gham dekha magar jo rang-e-sahar ro pade hain hum ab 'taj' mil gaya hai hamein mansab-e-hayat hai intiha khushi ki magar ro pade hain hum