agar wo gul-badan dariya nahane be-hijab aawe tajjub nahin ki sab pani sati bu-e-gulab aawe jidhan dekhun bahaaran mein nashat-e-bulbul-o-qumri mujhe us waqt be-shak yaad ayyam-e-shabab aawe mera afsana o afsun tere kan sabz kyunke ho siyah mizhgan tumhaari dekh ke sabze kun khwab aawe meri ankhiyan phadakti hain yaqin hai dil manin yaran ki name kun piyare ke kabutar le shitab aawe siyah-mastan ke aage sin nikalna hai nipat mushkil agar hoshyar tujh ankhiyan ke tain dekhe kharab aawe darang ek dam nahin lazim judai sin phadakta hai kaho ja kar khush-abru kun ki 'yakru' kan shitab aawe