azmat-e-shahar-e-ana shan-e-bashar ki surat mere shanon pe koi hai mere sar ki surat roz utarta hai samundar mein sunahra suraj roz ban jati hai ek dida-e-tar ki surat dil jo sahra ke sarabon se mera ub gaya yaad aai mujhe bhule hue ghar ki surat aa ke nazdik mere jalne ka manzar dekho dur se shoala bhi lagta hai sharar ki surat aahaten qadmon ki mohlat nahin detin warna dekhte rahte hain raste bhi safar ki surat kaun se ahd mein kholi hain ye aankhen hum ne aib lagte hain 'sukhan' sab ke hunar ki surat