agar wo gul-badan mujh pas ho jawe to kya howe zamin-e-dil mein tukhm-e-ishq bo jawe to kya howe sanam tujh zulf ke zunnar ke rishte mein aa zahid apas ke subha-gardani kun kho jawe to kya howe pila jam-e-sharab-e-aish wo saqi-e-bazm-ara ghubar-e-gham kun lauh-e-dil sun ho jawe to kya howe bayan karta hun main tujh zulf-e-mushkin ka sanam nis din khutan mein gar sukhan mere ki bu jawe to kya howe sada mashq-e-junun-e-ishq mein rahta hai saudai agar 'daud' ki yu zisht-khu jawe to kya howe