ye dil hi jaanta hai phir kahan kahan bhatke bichhad ke tum se hum aakhir kahan kahan bhatke hamare panw ke chhaale hi ye samajhte hain ki tere pyar ki khatir kahan kahan bhatke tumhaari chand si taswir ke tasawwur mein hamein pata hai musawwir kahan kahan bhatke tumhein pata hi nahin tum ko dekhne ke baad ghazal ke nam se shair kahan kahan bhatke khuda hi jaane mere khwab bech dene ke baad meri wafaon ke tajir kahan kahan bhatke kabhi jo ghar se na nikla ho us ko kya malum safar mein kitne musafir kahan kahan bhatke mila andhere mein jo kuchh khuda bana dala khuda ko chhod ke kafir kahan kahan bhatke kahin qarar na aaya kahin sukun na mila bichhad ke ghar se muhajir kahan kahan bhatke