agar wo mil ke bichhaDne ka hausla rakhta

agar wo mil ke bichhadne ka hausla rakhta
to darmiyan na muqaddar ka faisla rakhta

wo mujh ko bhul chuka ab yaqin hai warna
wafa nahin to jafaon ka silsila rakhta

bhatak rahe hain musafir to raste gum hain
andheri raat mein dipak koi jala rakhta

mahak mahak ke bikharti hain us ke aangan mein
wo apne ghar ka daricha agar khula rakhta

agar wo chand ki basti ka rahne wala tha
to apne sath sitaron ka qafila rakhta

jise khabar nahin khud apni zat ki 'zarrin'
wo dusron ka bhala kis tarah pata rakhta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close