mujh ko khamoshi-e-haalat se dar lagta hai ye mujhe daur-e-siyasat ka asar lagta hai be-amal main tha magar rab ne mujhe bakhsh diya ye meri man ki duaon ka asar lagta hai jab se wo dur hua hai meri in aankhon se dil mera dil nahin ujda sa nagar lagta hai jab se dekha hai tujhe khoya hua rahta hun ye teri shokh nigahon ka asar lagta hai har taraf dard hai tariki udasi hai bahut kis qadar sakht ye sanson ka safar lagta hai har ghadi dard ke paiwand lage jate hain ye mujhe mere gunahon ka asar lagta hai ek naqsh aisa banaya hai teri yaadon ne zehan se ruh talak tera hi ghar lagta hai