agar ye rangini-e-jahan ka wajud hai aks-e-asman se to phir rukh-e-sham-o-aina par khila hai ye rang-e-khun kahan se ruke rahenge fasil-e-zulmat ke daere par sabhi musafir magar kisi khwab ke jilau mein charagh niklega karwan se ruki hui hai jo ek mauj-e-sarab ki sath par ye duniya to main bhi us khwab ke nagar ka subut launga dastan se ye aaina jama kar raha hai nae jahazon ke aks lekin ye aab-ju qata kar rahi hai kisi sitare ko darmiyan se ye sach hai mil baithne ki had tak to kaam aai hai khush-gumani magar dilon mein ye dosti ki numud hai rahat-e-bayan se musafir-e-khwab ke liye hain ye meri aankhon ke phul 'sajid' aur ek sitare ke dekhne ko ye aag utri hai shama-dan se