aabla hai ki ghaw jo bhi hai

aabla hai ki ghaw jo bhi hai
samne mere lao jo bhi hai

chaak se ab mujhe utaro bhi
meri surat dikhao jo bhi hai

jo nahin us ki kya pareshani
khair us ki manao jo bhi hai

rakh diya hai tumhaare chugne ko
dard ki fakhtao jo bhi hai

hum tere dar se ab na utthenge
tera hum se subhaw jo bhi hai

dost to apne aap bante hain
koi dushman banao jo bhi hai

pa gae hain tumhaara bhed sabhi
apna bhaw girao jo bhi hai

ishq ki bad-dua lagi hai tumhein
baithe duniya kamao jo bhi hai

muntazir hain samaaten sab ki
apni apni sunao jo bhi hai

ye nishani hai ek payambar ki
ye shikasta si naw jo bhi hai

jura jura main pi raha hun 'munir'
mere dil mein alaw jo bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close